Haalat-e-bimar-e-gham Par Jis Ko Hairani Nahin
haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin
asal mein us aadmi mein KHu-e-insani nahin
aisi bedardi se us ko mat bahao KHak par
KHun-e-insan KHun-e-insan hai koi pani nahin
ruh ka rishta kabhi kya toD pai hai qaza
zindagi fani hai lekin ruh to fani nahin
jis ki KHushbu se moattar raat bhar rahta tha main
mere ghar ke pas ab wo raat ki rani nahin
main tajjub mein hun ye kaisa zamana aa gaya
chand mein ThanDak nahin suraj mein tabani nahin
phir tere upar na TuTe kyun azabon ka pahaD
tere andar ek zara bhi bu-e-imani nahin
yun na apne chahne wale ko ruswa kijiye
ye to andaz-e-suluk-e-dilbar-e-jaani nahin
kyun nahin tufan ka manzar teri chashm-e-shauq mein
kyun tere dariya-e-dil mein ab wo tughyani nahin
mutmain hai ishq bhi sham-e-alam ke bawajud
husn ke chehre pe bhi aks-e-pareshani nahin
ishq mein bhi tu na paega kahin mera jawab
jaan-e-man jo husn mein koi tera sani nahin
ai 'zafar' pale hue hain wo bhi duniya ki hawas
ab faqir-e-ishq mein bhi bu-e-irfani nahin
(1125) Peoples Rate This