Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef5e3bb11eff8e6fc91037de27755760, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aap Ki Mujh Pe Jab Bhi Nawazish Hui - Zafar Ansari Zafar Poetry In English - Darsaal

Aap Ki Mujh Pe Jab Bhi Nawazish Hui

aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui

mujh pe sang-e-malamat ki barish hui

zindagi bhar rahegi mujhe yaad wo

ishq mein jo meri aazmaish hui

mera bachpan mujhe yaad aane laga

titliyon ki jahan bhi numaish hui

mere daman pe kichaD uchhalta nahin

kya KHabar kya raqibon mein sazish hui

jhuT to jhuT tha jhuT hi wo raha

barha sach banane ki koshish hui

zulf bikhrae wo baam par aa gae

jab suhani ruton ki sifarish hui

kitna bad-zauq shahr-e-ghazal hai 'zafar'

bahre gunge ki har su sataish hui

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Ki Mujh Pe Jab Bhi Nawazish Hui In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Aap Ki Mujh Pe Jab Bhi Nawazish Hui is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Aap Ki Mujh Pe Jab Bhi Nawazish Hui for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Aap Ki Mujh Pe Jab Bhi Nawazish Hui in PDF.