Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_552b7774cd6b8f500aaa75d58fa9d9e8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
SuKHanwaran-e-ahd Se KHitab - Zafar Ali Khan Poetry In English - Darsaal

SuKHanwaran-e-ahd Se KHitab

ai nukta-waran-e-suKHan-ara-o-suKHan-sanj

ai naghma-giran-e-chamnistan-e-mafi

mana ki dil-afroz hai afsana-e-azra

mana ki dil-awez hai salma ki kahani

mana ki agar chheD hasinon se chali jae

kaT jaega is mashghale mein ahd-e-jawani

garmaega ye hamhama afsurda dilon ko

baDh jaegi dariya-e-tabiat ki rawani

mana ki hain aap apne zamane ke 'naziri'

mana ki har ek aap mein hai urfi-e-sani

mana ki hadis-e-KHat-o-ruKHsar ke aage

bekar hai mashshaiyon ki falsafa-dani

mana ki yahi zulf o KHat-o-KHal ki rudad

hai maya-e-gul-kari-e-aiwan-e-maafi

lekin kabhi is baat ko bhi aap ne socha

ye aap ki taqwim hai sadiyon ki purani

mashuq nae bazm nai rang naya hai

paida nae KHame hue hain aur nae 'mani'

mizhgan ki sinan ke ewaz ab sunti hai mahfil

kanTon ki katha barhana-pai ki zabani

lazzat wo kahan lal-e-lab-e-yar mein hai aaj

jo de rahi hai peT ke bhukon ki kahani

badla hai zamana to badliye rawish apni

jo qaum hai bedar ye hai us ki nishani

ai ham-nafaso yaad rahe KHub ye tum ko

basti nai mashriq mein hamin ko hai basani

(1691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SuKHanwaran-e-ahd Se KHitab In English By Famous Poet Zafar Ali Khan. SuKHanwaran-e-ahd Se KHitab is written by Zafar Ali Khan. Read famous Poem SuKHanwaran-e-ahd Se KHitab for youth and Student by Zafar Ali Khan. Free Download SuKHanwaran-e-ahd Se KHitab in PDF.