Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1e503cf862e2a06946808dd21bf3b569, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fanus-e-hind Ka Shoala - Zafar Ali Khan Poetry In English - Darsaal

Fanus-e-hind Ka Shoala

zinda-bash ai inqalab ai shola-e-fanus-e-hind

garmiyan jis ki farogh-e-manqal-e-jaan ho gain

bastiyon par chha rahi thin maut ki KHamoshiyan

tu ne sur apna jo phunka mahsharistan ho gain

jitni bunden thin shahidan-e-watan ke KHun ki

qasre-azadi ki aaraish ka saman ho gain

marhaba ai nau-giraftaran-e-bedad-e-farang

jin ki zanjiren KHarosh-afza-e-zindan ho gain

zindagi un ki hai din un ka hai duniya un ki hai

jin ki jaanen qaum ki izzat pe qurban ho gain

(1174) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Fanus-e-hind Ka Shoala In English By Famous Poet Zafar Ali Khan. Fanus-e-hind Ka Shoala is written by Zafar Ali Khan. Read famous Poem Fanus-e-hind Ka Shoala for youth and Student by Zafar Ali Khan. Free Download Fanus-e-hind Ka Shoala in PDF.