Ye Ahd Kya Hai Ki Sab Par Giran Guzarta Hai
ye ahd kya hai ki sab par giran guzarta hai
ye kya tilism hai kya imtihan guzarta hai
wo qaht-e-lutf hai har-dam tere faqiron par
hazar waswasa aatish-ba-jaan guzarta hai
jo KHak ho gae tere firaq mein un ka
KHayal bhi kabhi ai jaan-e-jaan guzarta hai
jab us ki bazm se chal hi paDe to sochna kya
ki arsa-e-gham-e-hijran kahan guzarta hai
kabhi wo chehra-e-manus bhi dikhai de
gali se roz naya karwan guzarta hai
'zafar' basant bhi hai aur bahaar ki rut bhi
falak pe taKHta-e-gul ka guman guzarta hai
(908) Peoples Rate This