Ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan Se Khinchte Hain
ummid-e-subh-e-bahaaran KHizan se khinchte hain
ye tir roz dil-e-na-tawan se khinchte hain
Kashid-e-tishna-labi qatra qatra pite hain
ye aab-e-talKH gham-e-raftagan se khinchte hain
main un se luqma-e-tayyab ki dad kya chahun
jo apna rizq dahan-e-sagan se khinchte hain
subu se lazzat-e-yak-guna lete hain lekin
KHumar-e-KHas lab-e-dostan se khinchte hain
dikhai paDta hai aada mein ek chehra-e-dost
so hath sahibo saif o sinan se khinchte hain
KHayal-e-taza se karte hain KHwab-e-nau taKHliq
'zafar' zaminen nai aasman se khinchte hain
(1193) Peoples Rate This