KHusha Ai ZaKHm Ki Surat Nai Nikalti Hai
KHusha ai zaKHm ki surat nai nikalti hai
bajae KHun ke ab raushni nikalti hai
nigah-e-lutf ho is dil pe bhi o-shisha-ba-dast
is aaine se bhi surat teri nikalti hai
mere harif hain masruf harf-sazi mein
yahan to saut-e-yaqin aap hi nikalti hai
zuban-burida shikasta-badan sahi phir bhi
khaDe hue hain aur aawaz bhi nikalti hai
tamam shahr hai ek miThe bol ka sail
hamari jeb se han ye KHushi nikalti hai
ek aisa waqt bhi sair-e-chaman mein dekha hai
kali ke sine se jab be-kali nikalti hai
kisi ke raste ki KHak mein paDe hain 'zafar'
mata-e-umr yahi aajizi nikalti hai
(950) Peoples Rate This