Yaro Har Gham Gham-e-yaran Hai Qarib Aa Jao
yaro har gham gham-e-yaran hai qarib aa jao
pyaro phir fasl-e-bahaaran hai qarib aa jao
dur ho kar bhi sunin tum ne hikayat-e-wafa
qurb mein bhi wahi unwan hai qarib aa jao
hum mohabbat ke musafir hain kahin dekh na le
ghat mein gardish-e-dauran hai qarib aa jao
jao ab jao ki wo ahd-e-wafa KHatm hua
jab bhi dekho ki phir imkan hai qarib aa jao
aaj duniya ko nahin apne ghamon se fursat
aaj mil baiThna aasan hai qarib aa jao
mere hi pahlu-e-sozan mein sukun mumkin hai
chaar-su gardish-e-dauran hai aa jao
main zamane ki kaDi dhup ka mara hun 'zafar'
tum jahan ho chamanistan hai qarib aa jao
(1037) Peoples Rate This