Tamir-e-zindagi Ko Numayan Kiya Gaya
tamir-e-zindagi ko numayan kiya gaya
taKHrib-e-kaenat ka saman kiya gaya
gulshan ki shaKH shaKH ko viran kiya gaya
yun bhi ilaj-e-tangi-e-daman kiya gaya
khoe houn pe teri nazar ki nawazishen
aaina de ke aur bhi hairan kiya gaya
aawargi-e-zulf se aasudgi mili
aasudgi mili ki pareshan kiya gaya
wo KHush-nasib hun ki gham-e-iltifat se
mere gham-e-hayat ka darman kiya gaya
tanhaiyan bichha ke jahan-e-KHarab mein
mere liye nigah ka saman kiya gaya
phaila ke be-sabaati-e-alam ki dastan
mujh par haram kaif-e-bahaaran kiya gaya
bhaDka ke aatish-e-ruKH-e-jaanan ki aarzu
mujh ko rahin-e-atish-e-dauran kiya gaya
naumidi-e-talab pe chaDha ke talab ka rang
ummid-e-did-e-dost ko arzan kiya gaya
ye bhi karam ki mujh ko shaban-e-siyah mein
mamur-e-dil-nawazi-e-hijran kiya gaya
jamiyyat-e-jamal ka husn-e-kamal dekh
aaKHir yahi hua ki pareshan kiya gaya
de kar chaman ko bahaar-o-KHizan ka rang
mere KHayal-o-KHwab pe ehsan kiya gaya
aa aur kaenat ke phulon ki dad de
jin se tera jamal numayan kiya gaya
(1284) Peoples Rate This