Main Hun Tere Liye Benam-o-nishan Aawara

main hun tere liye benam-o-nishan aawara

zindagi mere liye tu hai kahan aawara

tujh se kaT kar koi dekhe to kahan pahuncha hun

jaise naddi mein koi sang-e-rawan aawara

tujh ko dekha hai kahin tujh ko kahan dekha hai

wahm hai sar-ba-gareban o guman aawara

dair-o-kaba ki riwayat se inkar nahin

aao do din to phiren nara-zanan aawara

tere daman ki tarah daman-e-shab raKHshanda

mere ashkon ki tarah kaun-o-makan aawara

jalte-bujhte hain har ek gam pe tabinda nujum

koi hai aaj sar-e-kahkashan aawara

bhigi raaton mein 'zafar' phirta hai tanha tanha

aah wo soKHta-dil soKHta-jaan aawara

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Hun Tere Liye Benam-o-nishan Aawara In English By Famous Poet Yusuf Zafar. Main Hun Tere Liye Benam-o-nishan Aawara is written by Yusuf Zafar. Read famous Poem Main Hun Tere Liye Benam-o-nishan Aawara for youth and Student by Yusuf Zafar. Free Download Main Hun Tere Liye Benam-o-nishan Aawara in PDF.