Hai Gulu-gir Bahut Raat Ki Pahnai Bhi
hai gulu-gir bahut raat ki pahnai bhi
tera gham bhi hai mujhe aur gham-e-tanhai bhi
dasht-e-wahshat mein ba-juz-reg-e-rawan koi nahin
aaj kal shahr mein hai lala-e-sahrai bhi
main zamane mein tera gham hun ba-unwan-e-wafa
zindagi meri sahi hai teri ruswai bhi
aaj tu ne bhi mere haal se munh pher liya
aaj nam-nak hui chashm-e-tamashai bhi
ab khula hai ki tera husn-e-taghaful tha karam
garche kuchh der tabiat meri ghabrai bhi
juz-gham-e-dahr mujhe koi na pahchan saka
tere kuche mein teri yaad mujhe lai bhi
un ki mahfil mein 'zafar' log mujhe chahte hain
wo jo kal kahte the diwana bhi saudai bhi
(1056) Peoples Rate This