KHud-shanasi
main andhere ki phaili hui khaiyon mein jo gum ho gaya hun
to is ki wajah ye nahin hai
ki mujh mein ziya-bar kirnon ka fuqdan hai
ya raushni ki tamazat ko sahne ka hamil nahin hun
haqiqat to ye hai
jise raushni ka tum mamba samajh kar
azal se tawaf-e-mukarrar mein masruf ho
wo tumhaare hi andar ki simTi hui tarikiyon ke siwa kuchh nahin hai
aur main!
main mujassam munawwar-nigahi ki KHwahish liye
safar mein raha hun
safar mein rahunga abad tak!!
(1394) Peoples Rate This