Intibah
ai mere beTo!
main sochti hun
ki qadmon se
main apne tan ke hayat-agin lahu ke chashme
baha rahi hun
tumhaare sare
nazar jismon nahif zehnon ki murdani ko
miTa rahi hun
azal se apne zaif chehre ki aaDi-tirchhi
si jhurriyon ki lakir mein to
udas aankhon malul palkon
se Tapke qatre
mila rahi hun
hasin KHwabon ke buDhe bargad
ke zard patte bhi chun rahi hun
wo KHwab jin ke
chamakte jugnu
asir karne ko meri banhon ke sahilon par
safed chehre siyah qalib
ghanim utre
hasin KHwabon ke jugnuon ko
asir kar ke
KHud apni maon ki sard aankhon ko zindagi di
mere dafine mere KHazine
se apni kashti
ki god bhar bhar ke le gae aur
mere beTon ke zehn-o-dil mein
tafawuton aur adawaton ki
karih faslon ke bij boe
wo faslen jin ko
aziz beTon ne apne apne lahu se sincha
ki jin ke sine ki pak miTTi
ko garm taza lahu se
har dam
ghaliz rakkha
aur mere beTo!
main sochti hun
isi tarah gar
tafawuton aur adawaton ke
ye bich bote
rahe to ek din
ye dekhna tum
na tum rahoge na main rahungi
faqat hamari katha rahegi!
(923) Peoples Rate This