Itna Karam Ki Azm Rahe Hausla Rahe
itna karam ki azm rahe hausla rahe
is dil ke sath dard ka rishta sada rahe
apni ana ke sath jiye kaj-ada rahe
ab is ka kya malal ki be-dast-o-pa rahe
KHud-saKHta KHudaon ka mujh ko nahin hai KHauf
teri nawazishon ka bas ek silsila rahe
aadab-e-dosti se to waqif kabhi na the
tahzib-e-dushmani se bhi na-ashna rahe
ye bhi hamare daur ka ek alamiya hi hai
rahne ko sath sath rahe par juda rahe
(1219) Peoples Rate This