Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c884c0f82aa3fe29faf35414a3d703f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Watan - Yusuf Rahat Poetry In English - Darsaal

Watan

tere kisan ke sine mein hasraton ka hujum

teri fazaon mein har beTi man bahan maghmum

tere gharib ki aankhon mein sail-e-ashk rawan

tu ek watan hai ki ujDe hue watan ka nishan

khinchi huin tere mathe pe is qadar shiknen

khaDi huin tere sine pe itni diwaren

baha hai kitna lahu aaj tere daman par

KHizan ye kis ne bichai hai tere gulshan par

udas aankhon mein kitne KHushi ke KHwab hain aaj

teri zamin ke qarz hum pe be-hisab hain aaj

hum ek subh-e-daraKHshan ko ab taraste hain

andhere teri fazaon ke hum ko Daste hain

koi to aae jo hum ko jagae ghaflat se

ki hum bhi uTh ke sanwaren tujhe mohabbat se

tere wajud ne jaise hamein sanwara hai

tere KHulus ne jaise hamein nikhaara hai

(997) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Watan In English By Famous Poet Yusuf Rahat. Watan is written by Yusuf Rahat. Read famous Poem Watan for youth and Student by Yusuf Rahat. Free Download Watan in PDF.