Nauha
zist aur maut ki sard-o-viran si
do qayamat numa sarhaden
aur pahlu mein in sarhadon ke
wo dhundli si bujhti hui ek lakir
jis ki dahliz par aaKHiri sans lete hue
ruTh kar hum se koi
jo is muKHtasar fasle se guzar jaega
lauT kar wo nahin aaega
sard raaton mein hum us ko aawaz den to jawaban hamein
gunj ki surat apni hi aawaz aati rahegi
maut ke sard honTon pe jumbish na hogi
par unhen sard tarik raaton ke sine pe tum dekhna
kal hamein ek sitara chamakta nazar aaega
aur KHamoshiyon mein hamein ja-ba-ja ek aahaT si mahsus hogi
(919) Peoples Rate This