ZaKHmon Ki Munajat Mein Pinhan Wo Asar Tha
zaKHmon ki munajat mein pinhan wo asar tha
aankhon se Tapakta hua aansu bhi guhar tha
ashkon ki mayyat mein the maghmum andhere
sadmat ki har sej mein ek KHauf ka ghar tha
patte hon ki phal sab ka tha ek aur hi aalam
hairat hai magar is pe ki bauna wo shajar tha
darwaze makanon ke hue band sar-e-sham
kahte hain magar ye ki jiyalon ka nagar tha
kaisi wo hawas thi ki bani mojib-e-tazir
jannat se nikalwa diya kaisa wo samar tha
(1060) Peoples Rate This