Laghzishen Tanhaiyon Ki Sab Bata Di Jaengi
laghzishen tanhaiyon ki sab bata di jaengi
rangaten chehron ki is surat uDa di jaengi
KHushk peDon par nae mausam ugane ke liye
zard patton ki ye tahriren miTa di jaengi
qaht nindon ka paDega chahaton ke khet mein
KHwab ki faslen agar sari jala di jaegi
in sarabon mein muqayyad mujh se qaidi ke liye
kya fasilen ret ki unchi uTha di jaengi
phir samundar ke makanon ka bhi lenge jaeza
siDhiyan pani ki tah tak jab bana di jaengi
kya KHabar thi shak ki KHatir dosti ke nam par
aaj apni aastinen bhi dikha di jaengi
jaeza jab mere ghar ka lene wo aae 'jamal'
TuTi phuTi hanDiyan bhi khankhana di jaengi
(931) Peoples Rate This