Usi Harif Ki Ghaarat-gari Ka Dar Bhi Tha
usi harif ki ghaarat-gari ka Dar bhi tha
ye dil ka dard magar zad-e-rahguzar bhi tha
ye jism-o-jaan teri hi ata sahi lekin
tere jahan mein jina mera hunar bhi tha
isi pe shahr ki sari hawaen barham thin
ki ek diya mere ghar ki munDer par bhi tha
mujhe kahin ka na rakkha safed-poshi ne
main gard gard uTha tha to mo'tabar bhi tha
isi khanDar mein mere KHwab ki gali bhi thi
gali mein peD bhi tha peD par samar bhi tha
main surKH-ru tha KHudai ke ru-ba-ru 'yusuf'
ki us ki chah ka ilzam mere sar bhi tha
(1100) Peoples Rate This