Kitne Pech-o-tab Mein Zanjir Hona Hai Mujhe
kitne pech-o-tab mein zanjir hona hai mujhe
gard mein gum KHwab ki tabir hona hai mujhe
jis ki tabinda taDap sadiyon mein bhi sinon mein bhi
ek aise lamhe ki tafsir hona hai mujhe
KHasta-dam hote hue diwar-o-dar se kya kahun
kaise KHisht-o-KHak se tamir hona hai mujhe
shahr ke mear se main jo bhi hun jaisa bhi hun
apni hasti se teri tauqir hona hai mujhe
ek zamane ke liye harf-e-ghalat Thahra hun main
ek zamane ka KHat-e-taqdir hona hai mujhe
'yusuf' apne dard ki surat-gari karte hue
KHud bhi lauh-e-KHak par taswir hona hai mujhe
(1136) Peoples Rate This