Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9af81fe25bb662d558f69f2b8a2534b2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Nazar Mein Hai Asasa Apna - Yusuf Hasan Poetry In English - Darsaal

Har Nazar Mein Hai Asasa Apna

har nazar mein hai asasa apna

chaak-dar-chaak hai KHema apna

koi partaw hai na saya us ka

jis ke hone se hai hona apna

kis ki lau rah-e-sahar dekhegi

sham ki sham hai shoala apna

lipTe jate hain kinaron se bhi

aur dariya pe bhi dawa apna

chhoD baiThe hain faqiri lekin

abhi toDa nahin kasa apna

dar-e-KHusraw pe chala hai farhad

rehn rakh aae na tesha apna

kin gumanon mein ghire ho 'yusuf'

kabhi dekho to sarapa apna

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Nazar Mein Hai Asasa Apna In English By Famous Poet Yusuf Hasan. Har Nazar Mein Hai Asasa Apna is written by Yusuf Hasan. Read famous Poem Har Nazar Mein Hai Asasa Apna for youth and Student by Yusuf Hasan. Free Download Har Nazar Mein Hai Asasa Apna in PDF.