Aankh Mein Thahra Hua Sapna Bikhar Bhi Jaega
aankh mein Thahra hua sapna bikhar bhi jaega
raat-bhar mein nind ka nashsha utar bhi jaega
din ki chamkili sadaon se gurezan rah-rau
sham ki sargoshiyan sun kar Thahar bhi jaega
jism-o-jaan mein jalti-bujhti larzishen rah jaengi
wo mere ehsas ko chhukar guzar bhi jaega
be-talluq si karega guftugu mujh se magar
us ka lahja us ki baaton se mukar bhi jaega
wo bhi hoga aahaTon ka muntazir meri tarah
aur faqat jhonka hawa ka us ke ghar bhi jaega
(918) Peoples Rate This