Tanhai Ki Qabr Se UTh Kar Main SaDkon Par Kho Jata Hun
tanhai ki qabr se uTh kar main saDkon par kho jata hun
chehron ke gahre sagar mein murda aankhen phenk aata hun
main koi bargad to nahin hun sadiyon Thahrun is dharti par
dhund mein lipTe KHwabon ka qad lamha lamha nap raha hun
wo to jhuT ki chadar oDhe phaila sagar phand chuka hai
main hi sach ki mala japte is dharti mein Dub raha hun
pani ki maujon pe likkhi hai lamhon ki be-ruh kahani
kya paya hai kya khoya hai main sadiyon se khoj raha hun
'azmi' apni ye duniya ho jaise koi bhul-bhulayyan
dhund mein lipTe KHwabon hi se aankh-micholi khel raha hun
(939) Peoples Rate This