Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dcf18b0b0e92432907b9960010755267, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitni Hasin Lagti Hai Chehron Ki Ye Kitab - Yusuf Azmi Poetry In English - Darsaal

Kitni Hasin Lagti Hai Chehron Ki Ye Kitab

kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab

satron ke bich dekhiye phaila hua azab

chiKHon ka karb naghmon ke shoale waraq waraq

ehsas ban raha hai jawan dard ki kitab

mizan-e-dil mein tauliye phulon se har umid

lamhon mein ghul raha hai tamannaon ka shabab

chehron pe aaj kitne naqabon ka bojh hai

zaKHmi hai aainon ke samundar mein har hijab

ye zindagi hai sayon ka bikhra hua kafan

dasht-e-safar hai KHwab ka phaila hua sarab

(1195) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Hasin Lagti Hai Chehron Ki Ye Kitab In English By Famous Poet Yusuf Azmi. Kitni Hasin Lagti Hai Chehron Ki Ye Kitab is written by Yusuf Azmi. Read famous Poem Kitni Hasin Lagti Hai Chehron Ki Ye Kitab for youth and Student by Yusuf Azmi. Free Download Kitni Hasin Lagti Hai Chehron Ki Ye Kitab in PDF.