Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_rj1fvc2avuh9i2d12nek4ett54, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
HonTon Ke Sahifon Pe Hai Aawaz Ka Chehra - Yusuf Azmi Poetry In English - Darsaal

HonTon Ke Sahifon Pe Hai Aawaz Ka Chehra

honTon ke sahifon pe hai aawaz ka chehra

saya sa nazar aata hai har saz ka chehra

aankhon ki guphaon mein taDapti hai KHamoshi

KHwabon ki dhanak hai mere hamraaz ka chehra

main waqt ke kohram mein kho jaun to kya gham

DhunDega zamana meri aawaz ka chehra

suraj ke badan se nikal aae hain sitare

anjam mein bedar hai aaghaz ka chehra

palken hain ki sargoshi mein KHushbu ka safar hai

aankhon ki KHamoshi hai ki aawaz ka chehra

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

HonTon Ke Sahifon Pe Hai Aawaz Ka Chehra In English By Famous Poet Yusuf Azmi. HonTon Ke Sahifon Pe Hai Aawaz Ka Chehra is written by Yusuf Azmi. Read famous Poem HonTon Ke Sahifon Pe Hai Aawaz Ka Chehra for youth and Student by Yusuf Azmi. Free Download HonTon Ke Sahifon Pe Hai Aawaz Ka Chehra in PDF.