Tumhaari Justuju Ki Hai Wahan Tak
tumhaari justuju ki hai wahan tak
nahin pahunche jahan wahm-o-guman tak
jo rishte the hamare darmiyan tak
wo le aae hamein ab imtihan tak
mohabbat mein maqam aaya hai kaisa
ayan hone ko hai raaz-e-nihan tak
nahin milta tera sani kahin bhi
nazar pahunchi hai apni kahkashan tak
palaT kar jab kabhi dekha to samjha
kahan se aa gae hain hum kahan tak
sambhal kar baat kije shaiKH-ji se
rasai un ki hai pir-e-mughan tak
TaTola hai unhon ne dil ko aksar
magar pahunche nahin dard-e-nihan tak
nazar aata hai bas jalwa usi ka
pahunchti hai nazar apni jahan tak
ye fasl-e-gul ye bulbul ki asiri
hain fariyaadi qafas ki titliyan tak
yaqinan qabil-e-azmat hai 'ghazi'
na uf ki sun ke us ne galiyan tak
(1136) Peoples Rate This