Qaid-e-ulfat Ka Maza Zulf-e-girah-gir Mein Hai
qaid-e-ulfat ka maza zulf-e-girah-gir mein hai
bas yahi rang mere KHwab ki tabir mein hai
miThi miThi si kasak us ke bhi dil mein hogi
halki halki si khanak panw ki zanjir mein hai
us ko tahqir ki nazron se na dekho yaro
rang kirdar ka pinhan meri taswir mein hai
ku-ba-ku ek tajassus liye phirta hai mujhe
ab ye daryuza-gari hi meri taqdir mein hai
KHun ro deta agar tujh pe ayan ho jata
tu ne samjha hi kya jo kuchh meri tahrir mein hai
tum bhi 'ghazi' ki tarah dil ke ewaz jaan de do
ishq-e-kaamil ka maza bas isi tadbir mein hai
(1530) Peoples Rate This