KHun-e-tamanna Rang Laya Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
KHun-e-tamanna rang laya ho aisa bhi ho sakta hai
tanhai mein wo roya ho aisa bhi ho sakta hai
sab ke chehre par chehra tha main kis ko apna kahta
koi mujhe bhi DhunD raha ho aisa bhi ho sakta hai
jis ne mera ghar luTne mein choron ki aguwai ki
wo mera hi ham-saya ho aisa bhi ho sakta hai
mahfil hai angusht-ba-dandan ahl-e-nazar par riqqat tari
sher karishma kar hi gaya ho aisa bhi ho sakta hai
bhiD mein us ko main ne dekha dekh liya tha us ne bhi
ya phir nazron ka dhoka ho aisa bhi ho sakta hai
daulat shohrat aani jaani phir is par itrana kya
pani par ye nam likha ho aisa bhi ho sakta hai
apni kahani jaan ke yaro nahaq aankh bhigote ho
us ka gham bhi tum jaisa ho aisa bhi ho sakta hai
waqt ki dhup kaDi hai 'ghazi' danaon ki basti mein
barf sa chehra sulag raha ho aisa bhi ho sakta hai
(1095) Peoples Rate This