Dard-o-gham Ranj-o-alam Aah-o-fughan
dard-o-gham ranj-o-alam aah-o-fughan
sarguzasht-e-ishq ki hain surKHiyan
dil hai mera mail-e-fariyaad aaj
dekh kar un ke taghaful ka saman
ek zara ruk jaiye sun lijiye
is dil-e-ranjur ki bhi dastan
aap ne to ek nazar dekha faqat
jal gaya tab-o-tawan ka aashiyan
ai dil-e-gham-ghin na ro is daur mein
kaun sunta hai kisi ki dastan
aatish-e-ulfat to kab ki jal bujhi
raat din sine se uThta hai dhuan
nazm-e-mai-KHana badal kar rakh den hum
aao ai zinda-dilan 'tishna'-laban
(822) Peoples Rate This