Aati Hai Fughan Lab Pe Mere Qalb-o-jigar Se

aati hai fughan lab pe mere qalb-o-jigar se

khul jae na ye bhed kahin teri nazar se

rakkha hai tere gham ko hamesha tar-o-taza

Tapka lahu aankhon se kabhi zaKHm-e-jigar se

le chhoD diya shahr tera kahne pe tere

ab ho gae hum dur bahut tere nagar se

duniya pe hua raaz mohabbat ka yun ifsha

taDpaya bahut tu ne uThaya hamein dar se

mansub hain tujh se jo mohabbat ke fasane

waqt aaya to likkhenge kabhi KHun-e-jigar se

sine mein kahin rukta hai sailab-e-junun-KHez

dil KHun hua mera mohabbat ke asar se

sailab-e-hawadis bhi hua sharm se pani

aankhon se meri ashk kuchh is shan se barse

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aati Hai Fughan Lab Pe Mere Qalb-o-jigar Se In English By Famous Poet Yogendra Bahal Tishna. Aati Hai Fughan Lab Pe Mere Qalb-o-jigar Se is written by Yogendra Bahal Tishna. Read famous Poem Aati Hai Fughan Lab Pe Mere Qalb-o-jigar Se for youth and Student by Yogendra Bahal Tishna. Free Download Aati Hai Fughan Lab Pe Mere Qalb-o-jigar Se in PDF.