Zinda Rahne Ka Wo Afsun-e-ajab Yaad Nahin
zinda rahne ka wo afsun-e-ajab yaad nahin
main wo insan hun jise nam-o-nasab yaad nahin
main KHayalon ke pari-KHanon mein lahraya hun
mujh ko bechaargi-e-mahfil-e-shab yaad nahin
KHwahishen rasta dikha deti hain warna yaro
dil wo zarra hai jise shahr-e-talab yaad nahin
gard si baqi hai ab zehn ke aaine par
kaise ujDa hai mera shahr-e-tarab yaad nahin
tabsira aap ke andaz-e-karam par kya ho
mujh ko KHud apni tabahi ka sabab yaad nahin
KHud faramoshi ne taklif ki shiddat kam ki
mujh ko kab yaad the ye zulm jo ab yaad nahin
mujh se puchha jo gaya jurm mera mahshar mein
dawar-e-hashr se kah dunga ki ab yaad nahin
ijz ke sath chale aae hain hum 'yazdani'
koi aur un ko mana lene ka Dhab yaad nahin
(1007) Peoples Rate This