Tanhai Mein Aksar Yahi Mahsus Hua Hai
tanhai mein aksar yahi mahsus hua hai
jis tarah koi meri taraf dekh raha hai
DhunDa koi sathi jo kabhi dasht-e-wafa mein
ek apna hi saya mujhe har bar mila hai
sine mein hai mahfuz mata-e-gham-e-dauran
dibacha-e-ayyam mere dil pe likha hai
aahaT si shab-e-gham jo tujhe di hai sunai
ai dil wo tere apne dhaDakne ki sada hai
ho KHair charaghan-e-sar-e-rahguzar ki
sunte hain bahut tez zamane ki hawa hai
yak-rang kahan hoti hai insan ki fitrat
har phul ki KHushbu hai alag rang juda hai
maghrur na ho husn pe a sham-e-farozan
parwane ki aankhon mein koi aur ziya hai
nind aati hai yazdani-e-muztar ko sakun se
ye maut hai ya dost ke daman ki hawa hai
(1118) Peoples Rate This