Nigah-e-naz Ka Hasil Hai Etibar Mujhe
nigah-e-naz ka hasil hai e'tibar mujhe
hawa-e-shauq zara aur bhi nikhaar mujhe
kabhi zaban na khuli arz-e-muddaa ke liye
kiya hai pas-e-adab ne bhi sharmsar mujhe
purane zaKHm nae dagh sath sath rahe
mili to kaisi mili dawat-e-bahaar mujhe
phir ahl-e-hosh ke narghe mein aa gaya hun main
KHuda ke waste ek bar phir pukar mujhe
bikhar rahi hai mohabbat ki raushni har su
uDa raha hai koi surat-e-ghubar mujhe
na jaane kaun sa hai shoabada taaqub mein
ki aaj us ne kaha hai wafa shiar mujhe
jo aap aaen to ye faisla bhi ho jae
dikhai deta hai mausam to KHush-gawar mujhe
hazar bar sukun-e-hayat ki had mein
hazar bar kiya dil ne be-qarar mujhe
mere shabab meri zindagi mere mazi
zaban-e-haal se ek bar phir pukar mujhe
wo baat jis pe madar-e-wafa hai 'yazdani'
wo baat kahna paDegi huzur-e-yar mujhe
(1113) Peoples Rate This