Labon Tak Aaya Zaban Se Magar Kaha Na Gaya
labon tak aaya zaban se magar kaha na gaya
fasana dard ka al-muKHtasar kaha na gaya
harim-e-naz mein kya baat thi jo raaz rahi
wo harf kya tha jo bar-e-digar kaha na gaya
ye hadsa bhi ajab hai ki tere gham ke siwa
kisi bhi gham ko gham-e-mo'tabar kaha na gaya
nafas nafas mein tha ehsas-e-KHana-virani
KHaraba-e-gham-e-hasti ko ghar kaha na gaya
talash karta hun ima-e-iltifat abhi
wo kya nazar thi ki jis ko nazar kaha na gaya
junun ne fikr-o-nazar ko wo rifaten baKHshin
KHirad ko hum se kabhi dida-war kaha na gaya
na koi shor na ghaugha na haw-hu na KHarosh
KHizan ko mausam-e-derina-gar kaha na gaya
dil iztirab-e-guzarish ka mahsharistan tha
kisi ke samne kuchh bhi magar kaha na gaya
(1066) Peoples Rate This