Jalwa Afroz Hai Kabe Ke Ujalon Ki Tarah
jalwa afroz hai kabe ke ujalon ki tarah
dil ki tamir ki kal tak thi shiwalon ki tarah
aql-e-warafta ke be-nur bayabanon mein
hum bhaTakte rahe aawara KHayalon ki tarah
hum ki is bazm mein hain saya-e-gham ki surat
kaun dekhega hamein zohra-jamalon ki tarah
hath baDhta nahin rindon ka hamari jaanib
hum KHarabaat mein hain KHali pyalon ki tarah
jab koi KHar-e-sitam dil mein utar aata hai
phuT kar rota hai dil panw ke chhaalon ki tarah
jab bhi paDhta hun kitab-e-gham-e-hasti ai dil
tazkira un ka bhi milta hai hawalon ki tarah
soz-o-ehsas ki taswir hai qalb-e-shaer
naghme taKHliq hua karte hain nalon ki tarah
arsa-e-dahr mein ki hum ne basar 'yazdani'
zulmat-e-shab ki tarah din ke ujalon ki tarah
(980) Peoples Rate This