Jahan Kuchh Log Diwane Bane Hain
jahan kuchh log diwane bane hain
baDe dilchasp afsane bane hain
haqiqat kuchh to hoti hai yaqinan
kahin jhuTe bhi afsane bane hain
bahut nazan the jo farzangi par
unhen dekha to diwane bane hain
ki andaz-e-nazar ki aazari se
dilon mein kitne but-KHane bane hain
jo shoala shama ke dil mein hai raushan
usi shoale se parwane bane hain
ye kis saqi ka faizan-e-nazar hai
chaman mein phul paimane bane hain
qayamat tha mera mahfil se uThna
na jaane kitne afsane bane hain
meri diwangi par hansne wale
ba-zom-e-KHwesh farzane bane hain
jali hain zehn mein yaadon ki shamen
tasawwur mein sanam-KHane bane hain
ba-nam-e-gham ba-unwan-e-mohabbat
junun-afroz afsane bane hain
zamane se ho 'yazdani' gila kya
ki jo apne the begane bane hain
(1012) Peoples Rate This