Ek KHushi Ke Liye Hain Kitne Gham
ek KHushi ke liye hain kitne gham
mubtala-e-sad-arzu hain hum
dil bhi lauh-o-qalam ka ham-sar hai
dastanen hain kitni dil pe raqam
azmat-e-raftagan hai nazron mein
apne mazi ko DhunDte hain hum
para para hai KHud junun lekin
fikr-e-insan isi se hai mohkam
bhigi bhigi hai har kiran un ki
hai sitaron ki aankh bhi pur-nam
yun na hoti sahar ki ruswai
kash khulta na raushni ka bharam
hum hain aur ehtiram-e-husn-e-wafa
wo hain aur ehtimam-e-mashq-e-sitam
kamtar us ko na kahiye 'yazdani'
aadmi KHud hai jaan-e-do-alam
(1073) Peoples Rate This