Kuchh Log Jo NaKHwat Se Mujhe Ghur Rahe Hain
kuchh log jo naKHwat se mujhe ghur rahe hain
mahaul se shayad ye bahut dur rahe hain
kya kahiye ki kya ho gaya is shahr ka aalam
jis shahr mein ulfat ke bhi dastur rahe hain
majbur kise kahte hain ye kaun batae
puchhe koi un se ki jo majbur rahe hain
kuchh log sar-e-dar rahe hon to rahe hon
hum hain ki bahar-taur sar-e-tur rahe hain
hanste hue chehron pe na ja sinon mein un ke
haalat ke Takraw se nasur rahe hain
ai shaiKH ghanimat hai agar hum ko samajh lo
hum mansab-e-tasdiq pe mamur rahe hain
ek tum ki KHudai ke bhi dawe rahe tum ko
ek hum ki is iqrar se mazur rahe hain
sukkan-e-haram kya hain ye mujh se koi puchhe
allah ke ghar mein bhi ye maghrur rahe hain
ehsan baDa bojh hai is KHauf se 'yawar'
diwar ke sae se bhi hum dur rahe hain
(794) Peoples Rate This