Mujhe Aagahi Ka Nishan Samajh Ke MiTao Mat
mujhe aagahi ka nishan samajh ke miTao mat
ye charagh jalne laga hai is ko bujhao mat
mujhe jagna hai tamam umr isi tarah
mujhe subh-o-sham ke silsile mein milao mat
mujhe ilm hai mere KHal-o-KHad mein kami hai kya
mujhe aaine ka tilism koi dikhao mat
main KHulus-e-dil ki bulandiyon ke safar pe hun
mujhe dastan-e-fareb koi sunao mat
mujhe dekh lene do subh-e-farda ki raushni
meri aankh se abhi hath apna haTao mat
wahi peD hai wahi shaKH hai wahi nam hai
jo gira hai phul yahan se us ko uThao mat
mujhe tah mein ja ke uchhaalne hain guhar kai
main hun mutmain mujhe Dubne se bachao mat
tumhein be-maqam rafaqaton ki talash hai
mera shahr shahr-e-sabaat hai yahan aao mat
(1124) Peoples Rate This