Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7c67b9b2cf3fd6bd686375977a656ec9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Musalsal Ek Hi Taswir Chashm-e-tar Mein Rahi - Yasmeen Hameed Poetry In English - Darsaal

Musalsal Ek Hi Taswir Chashm-e-tar Mein Rahi

musalsal ek hi taswir chashm-e-tar mein rahi

charagh bujh bhi gaya raushni safar mein rahi

rah-e-hayat ki har kashmakash pe bhaari hai

wo bekali jo tere ahd-e-muKHtasar mein rahi

KHushi ke daur to mehman the aate jate rahe

udasi thi ki hamesha hamare ghar mein rahi

hamare nam ki haqdar kis tarah Thahre

wo zindagi jo musalsal tere asar mein rahi

nai uDan ka rasta dikha rahi hai hamein

wo gard pichhle safar ki jo baal-o-par mein rahi

(2146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musalsal Ek Hi Taswir Chashm-e-tar Mein Rahi In English By Famous Poet Yasmeen Hameed. Musalsal Ek Hi Taswir Chashm-e-tar Mein Rahi is written by Yasmeen Hameed. Read famous Poem Musalsal Ek Hi Taswir Chashm-e-tar Mein Rahi for youth and Student by Yasmeen Hameed. Free Download Musalsal Ek Hi Taswir Chashm-e-tar Mein Rahi in PDF.