Misal-e-aks Mere Aaine Mein Dhalta Raha
misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha
wo KHadd-o-KHal bhi apne magar badalta raha
main pattharon pe giri aur KHud sambhal bhi gai
wo KHamushi se mere sath sath chalta raha
ujala hote hi kaise use bujhaungi
agar charagh mera ta-ba-subh jalta raha
main us ke mani o maqsad ke sang chunti rahi
wo ek harf jo ehsas ko kuchalta raha
zamin KHulus ki miTTi se be-niyaz rahi
rifaqaton ka shajar wahimon pe palta raha
(1102) Peoples Rate This