Daulat-e-dard SameTo Ki Bikharne Ko Hai
daulat-e-dard sameTo ki bikharne ko hai
raat ka aaKHiri lamha bhi guzarne ko hai
KHisht-dar-KHisht aqidat ne banaya jis ko
abr-e-azar usi ghar pe Thaharne ko hai
kisht-e-barbaad se tajdid-e-wafa kar dekho
ab to dariyaon ka pani bhi utarne ko hai
apni aankhon mein wahi aks liye phirte hain
jaise aaina-e-maqsum sanwarne ko hai
jo Duboegi na pahunchaegi sahil pe hamein
ab wahi mauj samundar se ubharne ko hai
kunj-e-tanhai mein khilta hai taKHayyul mera
aur main KHush hun ki ye gul phir se nikharne ko hai
(933) Peoples Rate This