Dariya Ki Rawani Wahi Dahshat Bhi Wahi Hai
dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai
aur Dubte lamhat ki surat bhi wahi hai
alfaz bhi likkhe hain wahi nok-e-qalam ne
auraq pe phaili hui rangat bhi wahi hai
kyun us ka sarapa na hua naqsh-ba-diwar
jab main bhi wahi hun meri hairat bhi wahi hai
kyun barf si paDti hai kahin shahr-e-darun par
jab muzhda-e-KHurshid mein hiddat bhi wahi hai
kyun DhunDne nikle hain nae gham ka KHazina
jab dil bhi wahi dard ki daulat bhi wahi hai
raste se meri jang bhi jari hai abhi tak
aur panw tale zaKHm ki wahshat bhi wahi hai
ta-umr nigahon ke liye ek sa manzar
sae ki tarah sae ki qimat bhi wahi hai
(1122) Peoples Rate This