Ata-e-abr Se Inkar Karna Chahiye Tha
ata-e-abr se inkar karna chahiye tha
main sahra thi mujhe iqrar karna chahiye tha
lahu ki aanch deni chahiye thi faisle ko
use phir naqsh-bar-diwar karna chahiye tha
agar lafz o bayan sakit khaDe the dusri samt
hamin ko ranj ka izhaar karna chahiye tha
agar itni muqaddam thi zarurat raushni ki
to phir sae se apne pyar karna chahiye tha
samundar ho to us mein Dub jaana bhi rawa hai
magar dariyaon ko to par karna chahiye tha
dil-e-KHush-fahm ko subh safar ki raushni mein
shab-e-gham ke liye tayyar karna chahiye tha
shikast-e-zindagi ka aks ban kar rah gaya hai
wahi lamha jise shahkar karna chahiye tha
(1133) Peoples Rate This