Waqt Bas Rengta Hai Umr Ke Sath
waqt bas rengta hai umr ke sath
tara tara gina hai umr ke sath
kitna aasan sa talluq tha
kitna mushkil hua hai umr ke sath
phir safar nam hai aziyyat ka
rasta hanpta hai umr ke sath
kis ki aankhon ko nind chubhti hai
kaun jaga raha hai umr ke sath
jaane aaram aaega kab tak
dard baDhne laga hai umr ke sath
ek gunah tha chhupae rakkha tha
samne aa gaya hai umr ke sath
zindagi zindagi nahin lagti
koi dhoka hua hai umr ke sath
subh-e-kazib se sham-e-sadiq tak
ek mahshar bapa hai umr ke sath
kaisa chehra hai raat ki tafsil
kaun jal kar bujha hai umr ke sath
gard-e-mazi hai wasl ka hasil
qafila hijr ka hai umr ke sath
(1201) Peoples Rate This