Mujhko Utar Harf Mein Jaan-e-ghazal Bana Mujhe
mujh ko utar harf mein jaan-e-ghazal bana mujhe
meri hi baat mujh se kar mera kaha suna mujhe
raKHsh-e-abad-KHiram ki thamti nahin hain bijliyan
subh-e-azal-nizhad se karna hai mashwara mujhe
lauh-e-jahan se peshtar likkha tha kya nasib mein
kaisi thi meri zindagi kuchh to chale pata mujhe
kaise hon KHwab aankh mein kaisa KHayal dil mein ho
KHud hi har ek baat ka karna tha faisla mujhe
chhoTe se ek sawal mein din hi guzar gaya mera
tu hai ki ab nahin hai tu bas ye zara bata mujhe
kaise guzarna hai mujhe us pul-siraat-e-waqt se
waise to de gae sabhi jate hue dua mujhe
mera safar mera hi tha uThte kisi ke kya qadam
apne liye tha khojna apna hi naqsh-e-pa mujhe
lagta hai chal rahi hun main ruh-e-tamam ki taraf
jaisi thi ibtida mujhe waisi hai intiha mujhe
(1175) Peoples Rate This