Kisi Kashish Ke Kisi Silsile Ka Hona Tha
kisi kashish ke kisi silsile ka hona tha
hamein bhi aaKHirash ek daere ka hona tha
abhi se achchha hua raat so gai warna
kabhi to KHatm-e-safar ratjage ka hona tha
barhana-tan baDi guzri thi zindagi apni
libas hum ko hi ek dusre ka hona tha
hum apna dida-e-bina pahan ke nikle the
saDak ke bich kisi hadse ka hona tha
hamare panw se lipTi hui qayamat thi
qadam qadam pe kisi zalzale ka hona tha
hum apne samne har lamha marte rahte the
hamare dil mein kisi maqbare ka hona tha
tamam raat bulata raha hai ek tara
ufuq ke par kisi moajaze ka hona tha
kisi ke samne uTThi nazar to bah nikla
hamari aankh mein kya aable ka hona tha
hisar-e-shahr se bahar nikal hi aae hain
kabhi hamein bhi kisi raste ka hona tha
(1026) Peoples Rate This