Abhi Guzre Dinon Ki Kuchh Sadaen Shor Karti Hain
abhi guzre dinon ki kuchh sadaen shor karti hain
dariche band rahne do, hawaen shor karti hain
yahi to fikr ke jalte paron pe taziyana hai
ki har tarik kamre mein duaen shor karti hain
kaha na tha hisar-e-ism-e-azam khinchne wale
yahan aaseb rahte hain balaen shor karti hain
hamein bhi tajraba hai be-ghari ka chhat na hone ka
darinde, bijliyan, kali ghaTaen shor karti hain
abhi gard-e-safar ke girye ki hai gunj kanon mein
abhi kyun muntazir KHali saraen shor karti hain
hamein sairab rakkha hai KHuda ka shukr hai us ne
jahan banjar zaminen hon anaen shor karti hain
(1137) Peoples Rate This