Jo Nazar Kiya Main Sifat Mein Hua Mujh Pe Kab Ye Ayan Nahin
jo nazar kiya main sifat mein hua mujh pe kab ye ayan nahin
meri zat ain ki ain hai wahan dusri ka nishan nahin
wahi do jahan mein hai muftaKHar jaise ainiyat ki hui KHabar
wahi hukmaran hai jahan mein wahan kufr-o-din ka guman nahin
rahe ghairiyat ke hijab mein jo KHuda-numa se nahin mile
jo KHuda ko un se talab kiye rahi baat un pe nihan nahin
jise ho subut wajud ka wahi haq-shanas hai ba-KHabar
unhen jumla aawe KHuda nazar wo KHuda ko dekhe kahan nahin
main watan mein aap safar kiya jo qadam ko apni nazar kiya
mila apna aap pata mujhe jahan ghairiyat ka bayan nahin
main to ek 'markaz'-e-dahr hun jo KHuda-numa ke nishan se
jo bataun haq ka pata jise rahe baqi us ko guman nahin
(994) Peoples Rate This