Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0b19dac70b6b261bce3f3a1723ae0246, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi - Yasin Ali Khan Markaz Poetry In English - Darsaal

Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi

jahan baat wahdat ki gahri rahegi

wahan fikr apni na teri rahegi

lajajat amiron se yak-dam uTha de

qanaat se apni faqiri rahegi

na jine ki KHwahish na marne ka gham hai

jo haalat hai apni wo Thahri rahegi

mujalla hua jab se dil hai hamara

na marqad mein apne andheri rahegi

ghamanD har tarah karna zeba nahin hai

jawani kisi ki na piri rahegi

KHudai ki qudarat KHudi se hai 'markaz'

muqallid hain jab tak asiri rahegi

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download Jahan Baat Wahdat Ki Gahri Rahegi in PDF.